Wednesday, 18 January 2012

Hamein taleem kuch aisi hai...

Hamein taleem kuch aisi hai ke manzil se idhar udhar nahi dekhte,
Laila ke deewane hai logon ke patthar nahi dekhte.

Dekhte hai bas ek baar naqsha-e-manzil bade gaur se,
phir zehen me uthne wale agar magr nahi dekhte.

Phir woh firdaus hi na kyun choota ja raha ho peeche,
jab lau lagi ho manzil se to palat kar nahi dekhte.

Lutf-e-aaram ko lazzat-e-dard lazmi hai,
raat ki zulmat se bhagne wale noor-e-saher nahi dekhte

dekha hoga un budhi haddiyon ne beshaq lekin,
ham to aaj kal masiha-o-payamber nahi dekhte

Tang hi lagti hai yeh duniya unhe 'Alfaz',
do gaz ka apna jo aakhri bistar nahi dekhte.

<a href="http://www.blogadda.com" title="Visit blogadda.com to discover Indian blogs"> <img src="http://www.blogadda.com/images/blogadda.png" width="80" height="15" border="0" alt="Visit blogadda.com to discover Indian blogs" /></a>

No comments:

Post a Comment