Monday, 30 January 2012

Zakhm

Zakhm jo ishq me milte hai kuch uska indimaal (Remedy) nahi,
Wo kaafir palt kar nahi dekhta, purshish ka to sawaal nahi.

Tagaaful, tagaaful aur sirf tagaaful(Avoid),
kuch mere dilnawaz ko mere dil ka khayaal nahi.

Dil khoya to chain khoya, khud ko bhi khoya,
goya ke khona hi hai kuch ishq me iqtisaab(Addition) nahi.

Gham-e-ishq se itna to hua ke iske lagte hi,
kuch aur ab is dil me inteshar(Chaos) nahi.

Thursday, 26 January 2012

Tere Liye...

Lakh buri sahi yeh duniya magar,
chal tere liye duniya me hum dobara bhi aayenge.

Tere hoton ka shahad jo qatib-e-taqdeer taqdeer me likhe,
ye gham ye zaher hum hans ke pee jayenge,
chal tere liye duniya me hum dobara bhi aayenge

Wednesday, 18 January 2012

Hamein taleem kuch aisi hai...

Hamein taleem kuch aisi hai ke manzil se idhar udhar nahi dekhte,
Laila ke deewane hai logon ke patthar nahi dekhte.

Dekhte hai bas ek baar naqsha-e-manzil bade gaur se,
phir zehen me uthne wale agar magr nahi dekhte.

Phir woh firdaus hi na kyun choota ja raha ho peeche,
jab lau lagi ho manzil se to palat kar nahi dekhte.

Lutf-e-aaram ko lazzat-e-dard lazmi hai,
raat ki zulmat se bhagne wale noor-e-saher nahi dekhte

dekha hoga un budhi haddiyon ne beshaq lekin,
ham to aaj kal masiha-o-payamber nahi dekhte

Tang hi lagti hai yeh duniya unhe 'Alfaz',
do gaz ka apna jo aakhri bistar nahi dekhte.

<a href="http://www.blogadda.com" title="Visit blogadda.com to discover Indian blogs"> <img src="http://www.blogadda.com/images/blogadda.png" width="80" height="15" border="0" alt="Visit blogadda.com to discover Indian blogs" /></a>